Está en la página 1de 6

Yeh Kaisa Tamasha Hai Allah Pe Mohammad Hai,

Pur Noor Zalzala Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Do La Mil Gaye Jab Lillah Ban Gaya Woh,


Sab Raaz Khul Gaya Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Aurat Me Band Hai Wehdat' Wehdat Me Band Hai Aurat,


Yeh Haq Hai Barmala Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Takrau Jab Howa Hai Lohoo Kalam Jis Dam,


Ek Shor Sa Macha Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Khilwat Me Dekha Jakar Zer O Zabar Thi Khudrat,


Be Shakta Kaha Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Alam Tha Be Khudi Ka La Me Sama Gaya Jab,


Masti Yeh Be Panaah Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Do Ek Ho Gaye Jab Dena Laga Sahadat,


Jumbish Ka Silsila Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Tu Aaina Hai Mera Main Aaina Hoon Tera,


Ek Josh E Walwala Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Sufi Se Pucho Sufi Ilm E Laduni Kya Hai,


Ek Pyara Falsafa Hai Allah Pe Mohammad Hai*

Na Khayal E Wasl Hijraa(?????) Na Talash E Aarzu Ho*


Milun Tujh Mein Is Tarah Main K Na Main Rahoo Na Tu Ho*

Tera Jalwa Aisa Chhaae(?????) K Na Gairyat Samaae*


Jidhar Aankh Utha Ke Dekhun Teri Shakl Ru Baru Ho*

Jo Tu Ne Khud Kaha Hai K Faynuma Tawwallo*


Tujhe Kiun Na Dekhun Har Soo Jo Nigaahen Chaar Soo Ho*

Rahe Sar Mein Sauda Tera Rahe Dil Mein Yaad Teri*
Na Kisi Ki Kuch Tamanna Na Kisi Ki Aarzu Ho*

Milun Tujh Mein Is Tarah Main K Rahe Na Meri Hasti*


Mere Jism Meri Jaa(???) Mein Mere Dil Mein Tu Hi Tu Ho*

Rahoo(????) Mast Kaif Hoo Mein Na Khabar Rahe Kuch Hai Ki*
Dar E Maikada Se Saaqi Wo Ata Mujhe Suboo Ho*

Yahi Dil Ki Hai Tamanna Yahi Aarzu Hai Waqif*


Jalun Shamma Ki Tarah Main Na Zubaa Pe Aah Na Hoo Ho*

Kaun Hu Kya Mera Imaan Batade Saaki,


Raaz Kalme Ka Bata, Kalma Padha De Saaki.

Do(2) Muhammad (S.a.w) Do(2) Ali (R.a) Aath(8) Hai Allah Kaise?
Khol De Raaz Ye, Wahdat Ka Pata De Saaki.

Hai Kaha Bazarkh Aadam Me Hasan (R.a) Or Hussain (R.a),


Raaz Kya Karbala Ka Hai Batade Saaki.

Ye Saza Or Jazaa Kaun Ye Kis Ko Dega?


Roze Mehshar Hai Kaha Hum Ko Batade Saaki.
Ya Qadir Allah Mere Yamni Gharane Wale,
Kalma Ye Mann Ka Hai, Ye Mann Me Basa De Saaki.

Kyu Chupa Rakha Hai Mujhse Hi Mujhe Peer Aadil,


Rind Maikhana E Wahdat Ka Bana De Saaki.

�HAZRAT PEER AADIL BIJAPURI R.A�

Allah Ko Dekhna Hai Toh Dil Aaina Bana�


Murshid Ka Le Wasila Nazar Ka Wazu Bana��

Hoo Ka Wazifa Jab Hai Ke Dil Me Rahe Sanam�


Seene Ku Kaa-ba Aur Sanam Ku Khuda Bana��

Joh Cheez Be Talab Mila Uska Jawab Kya�


Maange So Joh Mila Na Usey Muddwa Bana��

Hasti Ke Rasta Me Akela Na Jaa Kabhi�


Dil Jis Ku Chahta Hai Usey Rehnuma Bana��

Har Dar Pe Sar Jhukane Se Kuch Faayda Nahi�


Apne Jabeen Ke Waste Ek Naqsh E Pah Bana��

Apna Tawaaf Karna Hi Hamsar Hai Bandagi�


Apne Liye Hi Khud Apne Me Ek Buthkada Bana��

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayal Aata Hai,


Ki Raaze Kalma Bataya Gaya Hai Mere Liye,
Ye Mann Araf Ki Hai Tafseer Bhi Meri Khatir,
Mujhi Se Mujhko Chupaya Gaya Hai Mere Liye .

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayal Aata Hai,


Mai Jisko Puj Raha Hu Wo Kaun Hai Kya Hai,
Kisike Daamane Akdas Me Jab Se Aaya Hu,
Kabhi Khushi Hai Kabhi Gam Ye Kya Tamasha Hai.

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayal Aata Hai,


Zamane Wale Fakiro Se Kyu Ulajhte Hai,
Dhakosli Hai Kyu In Waaizo Ki Takrire,
Muamme Peero Se Hai Masto Se Kyu Sulajhte Hai.

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayal Aata Hai,


Pahuchu Kis Tarah Baa-hud Ke Gulistan Me,
Maamle Hai Ye Parwaz Rooh Ke Saare,
Khuda Bhi Milta Hai Murshid Ke Paak Daaman Se.

Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khayal Aata Hai,


Fanaa Ke Baad Hi Raahe Bakaa Hai Peer Aadil,
Ye Mere Hazrat E Mehtaab Shah Ka Sadqa Hai,
Ki Aaj Mazhare Zaate Khuda Hai Peer Aadil.

�HAZRAT PEER AADIL BIJAPURI R.A�

Mujhko Piyala Bharke Kaisa Yeh Jaam Saaqi,


Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi.
Kaabe Ko Kyun Main Puju Apna Khuda Samajhkar,
Pathar Ko Pujhna Hain Mujhper Haraam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Humne Khuda Suna Tha Be-misle, Be-namuna,


Lekin Misaal Paaya, �Fehmi� Naam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Mazhab Mitaah Diya Hain Apna Azal Se Maine,


Bus Ishq Tera Haasil Mazhab Hai Naam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Roza, Namaaz, Taqwa, Kalma, Quraan Chorha,


Ek Buth Ne Faraiz Karke Tamaam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Masjid Mandar Ko Dekha Buthkhana O Kalisa,


Lekin Kahin Na Paaya Dar Naam Naam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Allah Ismein Jaaku, Soorat Nazar Pehchanu,


Be-sood Zikr Tera, Be-sood Kaam Saaqi.
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi..

Jo Tuthne Se Paaya Woh Aan Ke Samaya,


Apni Misaal Soorat, Apna Makaam Saaqi..
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi

Ek Peshwa Hamara, Ek Hai Imaam Bhi,


Bus Ishq Hi Hai Apna, Chautah Imaam Saaqi
Teri Soorat Ko Sajda, Tera Salaam Saaqi

Allah Bhi Hai Noor ' Mohammed Bhi Noor Hai*


Ye Dono Noor Mil Ke Hain' Ya Door Door Hai*

Kul Kaaenat Gar Hai' Mohammed Ke Noor Se*


Allah Ka Wo Noor Kya Be Kaar Noor Hai*

Paihchan Kya Hai Allah Mohammed Ke Noor Ki*


Kis Tarah Samjhen Noor Ko Ye Kis Ka Noor Hai*

Shai Rag Se Wo Qareeb Hai Shai Rag Mein Kiun Nahi*


Is Raaz Ko Wo Jaane Ga Jo Ba Shaoor Hai*

Iblees Bhi Tha Aadam W Hawwa Bhi Khuld Mein*


Sach Sach Bataao 3teeno Mein Kis Ka Kasoor Hai*

Mil Jaae Koi Aarif E Kamil To Puchh Loon*


Batla K "Kis" Ke Noor Se "Kis" Ka Zahoor Hai*

�Rizwaa,n� Agar Wo Hoga To Hoga Nafoos Mein*


Jab Hi To Nafsiyaat Ko Itna Guroor Hai*

� HAZRAT KHWAJA SAYYED AZIZUDDIN RIZWAN SHAH QADRI AL CHISTI R.A �

Meri Hasti Yaar Ka Izhar Hai


Mai Nahi Hoo'n Ab Zahir Yaar Hai
Ishq Ka Dastoor Hai Sab Se Juda
Sar Diya Jisne Wahi Sardar Hai

Kasrat-e-anwaar Parda Kar Ga'ee


Kis Qadar Zahir Jamal-e-yaar Hai

Deed Kis Ki Aur Kis Ka Dekhna


Bhool Ja Khud Ko Yehi Deedar Hai

Soorat-e-shaitan Mai Khud Munkar Huwa


Warna Kis Ko Jur'rat-e-inkar Hai

Sha'h-e-kaamil Ka Na Ho Jab Tak Karam


Apni Hasti Ki Nafi Dushwar Hai

� HAZRAT KAAMIL SHUTTARI R.A �

Yaqeen Hai Khuld Mein Ab Lakhon Gundam Ke Shajar Honge.....


Khata Har Ek Se Hogi Aur Sab Zer O Zabar Honge.....

Har Ek Ke Sath Ek Ek Hoor Hogi Wargalane Ko.....


Yaqeenan Larjishen Bhi Hongi Phir Sab Dar Badar Honge.....

Na Jaane Kis Ki Surat Mein Khuda Wahaa Jalwa Gar Hoga.....


K Sab Bande Khuda Ki Shakl Mein Wahaa Jalwagar Honge.....

Khuda Ki Aur Bashar Ki Ek Surat Hai To Ye Samjho.....


Khuda Utne Hi Honge Hashr Mein Jitne Bashar Honge.....

Ye Aksar Soch Kar Be-Chari Dozakh Kanpti Hogi.....


Jalaaun Kis Tarah Jo Mazhar E Khaihrul Bashar Honge.....

Yaqeenan Hashr Mein Honge Bahot Sharminda Wo Rizwaan.....


K Is Dunya Mein Apne Aap Se Jo Be Khabar Honge......

� HAZRAT KHWAJA SAYYED AZZIZUDDIN RIZWAN SHAH QADRI AL CHISTI R.A �

Hum Apni Saanson Me Kalma Basaye Phirte Hai,


Khuda Ki Baare Amanat Chupaye Phirte Hai.

Humare Kandho Pe Laadha Gaya Hai Bojh Bada,


Isi Hi Waste Gardan Jhukaye Phirte Hai.

Zamana Tohmate Deta Hai Hum Fakiro Ko,


Ajib Baat Hai Hum Muskuraye Phirte Hai.

Yahi Hai Mashagla Hum Jaise Ahle Nisbat Ka,


Zamane Walo Ko Kalma Padhaye Phirte Hai.

Mili Hai Taalim E Irfan Peero Murshid Se,


Isi Khulase Se Duniya Pe Chaaye Phirte Hai.

Kabhi Fakiro Me Hum Aazmaye Jaate Hai,


Kabhi Khulus Se Hum Aazmaye Phirte Hai.
Hamesha Kehte The Mehtaab Shah Fakiro Se,
Ki Mann Ki Jholi Me Kalma Chupaye Phirte Hai.

Hijab Rakhte Hai Jalwo Ka Hum Toh Peer Aadil,


Woh Or Honge Jo Jalwe Dikhaye Phirte Hai.

" HAZRAT PEER AADIL BIJAPURI R.A "

Aashiq Is Jaa Se Bhi Kuch Aage Nikal Jate Hain*


Baal E Jibraeel Jaha Jane Se Jal Jate Hain*

Ek Hi Shai Se Sabhi Ka Hai Talluq Shayad*


Gair Ke Zikr Se Aihbab Machal Jate Hain*

Senkdo Jurm Pe Jannat Ki Tawaqqe Tauba*


Jab K Ek Jurm Pe Jannat Se Nikal Jate Hain*

Boli Mansoor Ki Ho Ya Kisi Mai Nosh Ki Ho*


Baat Hai Ek Hi Andaaz Badal Jate Hain*

Aap Ke Naam Ki Taseer Ye Allah Allah


Abhi Gir Nahi Pate K Sambhal Jate Hain*

Paae Saaqi Pe Maikasho Sajda Kar Lo*


Laakh Biddat Hi Sahi Dil Toh Bahel Jate Hain*

Sab Mein Allah Hai Par Sab Nahi Allah Wale*


Senkdon Mein Koi Ek Aadh Nikal Jate Hain*

Sunne Wale Tere Irfan Ke Aksar *RIZWAN*


Kuch Bahek Jate Hain Kuch Log Sanmbhal Jate Hain*

� HAZRAT SUFI AZIZUDDIN RIZWAN SHAH QADRI AL CHISTI R.A �

Meri Justaju Ka Bhala Huwa' Meri Justaju Ka Sila Mila*


Jo Sanam Ki Mujh Ko Talash Thi ' Wo Sanam Khudi Mein Chhupa Mila*

Ye Hi Dar Tha Mere Naseeb Ka' Isi Dar Se Paya Sukoon E Dil*
Isi Dar Se Mujh Ko Ana Mili ' Isi Dar Se Us Ka Pata Mila*

Mera Peer Peeron Ka Peer Hai' Mera Peer Shahee Faqeer Ha*
Jo Talab Thi Mere Junoon Ki Mujhe Aur Is Se Siwa Mila*

Dar E Peer Hai Dar E Mustafa' Dar E Mustafa Hai Dar E Khuda*
Isi Dar Se Samjha Rasool Ko' Isi Dar Se Raaz E Khuda Mila*

Bina Aankh Unko Jo Dekh Le' Bina Aql Un Ko Jo Jaan Le*


Be Suboot Jo Un Ko Pa Liya' Use Do Jahaa Ka Sila Mila*

Bina Kaan Unki Sada Ko Sun' Bina Nafs Unka Khayal Kar*
Jo Na Samjha Aise Rumooz Ko' Na Khudi Mili Na Khuda Mila*

Na Gila Na Shikwe Ki Haajate' Na Kisi Se Rizwaa Shikayaten*


Jo Bhi Hona Tha Huwa Huwa' Jo Naseeb Mein Tha Mila Mila*
�Hazrat Khwaja Azizuddin Rizwan R.A�

Khuda Se Milne Bande Ko Kahi Jana Na Aana He


Khudi Ko Apni Gum Kar Ke Khuda Ko Khud Me Paana He

Lattaif Aur Tawajjo Me Tamasha He Tajjali Ka


Kab Achha Zaat Me Rehkar Sifat Se Dil Lagana He

Jo Tujme Zikr Hota He Nahi Sunta He Tu Hargiz


Ye Nadani He Jo Apni Zaban Se Gul Machana He

Tilasmat E Tassawur Ka Jo Ham Me Khel He Is Se


Kabhi Chehra Dikhana He Kabhi Surat Mitana He

Samaj Lo Jaan Ko Apni Ke Is Me Khud Jane Jana He


Taayun Hi Me Apni La-taayun Ka Thikana He

He Hajir Bazm Me Apni Bahut Se Gunge Aur Behre


Bajakar Taar Ko Dam Ke Unhe Nagma Sunana He

Sada He Besada Jo He Wahi Awaz Mutrab He


Hamare Paas Jaaiz Is Liye Gana Bajana He

Wujud Apna Jo He Misle Hubab Kulzame Wehdat


Fana Ho Kar Isi Dariya Hi Me Hardam Samana He

Hayat E Jawedani Ko Samajna He Agar Tumko


Kaza Se Pehle Apne Jism Ko Murda Banana He

BHOOL SAKTA HAI KAHI TUJHKO YE SHAIDA TERA


HAR GHADI PESH E NAZAR REHTA HAI JALWA TERA...

NA GHARAZ DAIR SE MUJHKO NA HARAM SE MATLAB


DEEN O IMAAN MERA TU HAI MAI BANDA TERA...

KIS TARAH GAIR TERA PAAYE JAGAH DIL ME MERE


JAB KE AYE JAAN E JAHAAN DIL PE HAI KABZA TERA...

KHALQ DEEWANA KAHE KYU NA TERE SHAIDA KO


DIL ME HAI DHYAN TERA LAB PE HAI CHARCHA TERA...

AISE BEEMAR KO KYA KOI KARE CHARAGARI


JISKE SARR ME HO SAMAYA HUA SAUDA TERA...

AARZU HAI DAM E AAKHIR BHI TERA DHYAN RAHE


JAAN NIKLE MERI TAKTA HUA MUKHDA TERA...

AISA BECHAIN BANA DE NA MILE CHAIN KABHI


DARD WO DE DE KE TADPA KARE SHAIDA TERA...

AZ KALAAM - SUFI MOHAMMAD MUHIBULLAH SHAH IFTEKHARI 'BECHAIN' (QSA)

También podría gustarte