Está en la página 1de 17

1

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutabkhana


May 2017
2

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Omuman samjha socha aur kaha jata hai kah hakam


zobanain mahkoom zobanoon par lisani hawalah se
asarandaz hoti hain , yah nazrea eak haad tak darust ho
sakta hai likin es ki sehat ka mokamal toor par eqrar
nahain kiya ja sakta. Zobanain kisi bhi hawalah se jab eak
dusray kay qareeb aati hain, apna lisani asar zaroor
choorti hain. Kam ya zeyadah asar kay zeman main chand
omoor paish paish rehtay hain. Maslan
1- Awazoon ki ginti aur oon ka lisani nazam
2- Zobanoon ki lachakpazeri
3- Mutradaf aur mutbadal aawazoon ki farami
aur mojodgi
4- Bolnay waloon kay mazaj rujhanaat aur
khasusi ravaeay
3

5- Bolnay waloon ki mail mulaqaat ki suratain


aur zaroratain
6- Majmoe aur shakhsi andaz-o-atwar
7- Halaat, qudrati mahool, aur moashrat
8- Zaroratain aur oon zaroratoon ki noeat-o-ehmiat
9- Zobanoon ki anna, jo oon se mukhsus hoti hai
10- Aalaat-e-notaq aur moavan aalaat-e-notaq
11- Mutradfaat-o-Mutbadlaat
12- Murakab aawazain
Mujbori se juray afaal estakam se door rehtay hain ya
phir oon ka saliqah darust nahain hota. Yah bhi mumkin
hai kah oon kay andaz-o-atwar nadarust rahay hoon.
Bahartoor kahein nakahein kharabi, kaji ya adhoraypun
ki koe nakoe surat zaroor baqi rehti hai jis kay sabab
aatay waqtoon main oon afaal ki moot waqey ho jati hai
aur woh qessah-e-parenah ho kar reh jatay hain.
4

Mukhtalif alaqoon aur qomiatoon se motalaq log


Bar-e-Sagher main mukhtalif hawaloon se aatay jatay
rahay hain. Bar-e-Sagher ki zobanoon nay badaisi
zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu nay bhi badaisi
zobanoon se asraat qabool kiay. Urdu dunyaan ki tamaam
zobanoon se ziyadah social, milansar aur lachakpazeer
hai. Essi wajah se aaj yah dunyaan ki dusri bari zoban hai
aur es ka daera-e-ezhar mahdood nahain. Jab yah boli
rahi ho gi, es ka qad-o-kath batata hai os waqt bhi ezhar
kay moamlah main os ehad kay motabaq mahdood nahin
rahi ho gi. Yah jab aur jis se mili os ko apna kar liya.
Hoor, ahwaal, oqaat, majlis, misain
tuo chain, touch, mintmar, chargal
maicha, naicha,
ladiaan votran, sportran wagherah
ab Arbi ya Angraizi kay alfaz nahain rahay. Urdu zoban
5

main en ki apni haiseat zarorat istamal aur nahvi set up


hai aur Urdu kay apnay lisani nazam se mukhsus hai. Is
qesam kay ungint alfaz Urdu kay liay ajnabi nahain hain
aur nahi in kay istamalaat Arbi ya Angraizi kay lisani
nazam kay marhoon-e-mint hain.
Angraizi Bahadar Shah Awal (1712) se taqreban
Bar-e-Sagher kay liay majbori ka darjah ikhtayar kar gae
likin jab Urdu kay jussay ko malahzah kartay hain to
bakhoobi andazah hota hai kah essay kisi bhi hawalah se
majbori ka naam nahain de saktay. Angraizi alfaz ko
qaboltay samay kahein aur kisi moor par es ki anna
majro hoti nazar nahain aati. Badaisi/Mahajar ko es ki
anna kay hawalah se libas ekhtayar karna para hai.
Shalwar Qameez pehnay bagher os ki nahain bani. Her
badaisi lafz Urdu kay zaati hawalah se apni shanakht
rakhta hai. Angraizi alfaz ko qabonay ki bohat sari
suratain samnay aati hain. Agli satoor main chand eak ka
tazkarah kar raha hoon takah es hawalah se kaam ko
6

aagay bharnay main, kisi haad tak sahi, madad mil sakay.
Es tehreer ki tayari kay liay Qeblah Syed Akbar
Allahabadi kay qalaam se bharpoor estafadah kiya giya
hai. Bawar rahay mojood talafaz kay motabaq alfaz kay
endraj ki koshesh ki gae hai.
Bayshamar angraizi alfaz Apni asal ashkaal kay sath
Urdu zoban main dakhal ho gay hain. Oon ki yahaan farest
daina mazmoon ko layaeni tawalat dainay kay mutradaf
ho ga.
Angraizi aur Urdu ki amaizash se mukhtalif qisam
kay aamaizay/marakbaat parhnay sonnay ko mil jatay
hain. Maslan
English masadar, Lat sahib, jhutay biskit, natural cheez,
natural baat, paper dhandli, shookh mis, natural hai, agla
koras, anrairi andleeb, london tak/talak, gharbi
mashinoon, paish commission, maghrabi operation, dhili
patloon, shakhastah note book, shiya college, siyasi
committee makhfi policy/palisi, angraiz society, tikat
7

ghar, dak train, mula majistrate, sufi professor, political


zarorat, third walay, sintific tareeq, social halat, political
aab-o-hawa, eak inch, liague se, kolaig se, bar main, jail
main, college kay, college main, hotal main
alam-e-teacher, mis-e-farang, milat-e-angraiz,
khooh-e-kalaktar, taraqi-e-pension, meh-e-nature,
chasham-e-mis, shah-e-england, shah-e-jarmany,
mission-e-enkalaab, taqleed-e-english, saz-e-piyano,
androon-e-asia, deen-e-naturi, shahid-e-hotal,
sarjun-e-raqeeb, fikar-e-salution, ehhad-e-english,
pabandi-e-patloon, patloon-o-kot, banglah-o-biskit,
latin-o-english, college-o-teacher, englastan-o-jarman,
shaikhi-o-kalarki, naghmah-e-aspensar-o-mal,
karnal-o-comissioner, naghmah-e-yorap,
ghamzah-e-enginiri, mai-e-london, saya-e-hotal,
nokri-o-membri
so-e-london, nuskhah-e-resolotion, kochah-e-service,
tazkarah-e-college, tazkarah-e-visit, pardah-e-sacreen,
8

kiresmis ka pechla, kalaktar ka day, aspeach ka honar,


aspeach ka sur, taitar ka sama, hukam English ka, english
ka bojh, yorap ka qafiya, council ka vote, masjid ka
notice, shahi ka charage, kalaktar ka didar, university ka
maslah, bikit ka choor, biskit ka joor, lecture ka sabaq,
enlish ka door dorah, beaf ka chaska, patloon ka paich,
astation kay sadqay, fesion kay sadqay, fasion kay khalaf,
fasion kay sath, bangloon kay moqeem, college kay kiray,
college kay mufti, putloon kay batan, yorap kay log,
English kay falait, parh kay angraizi, government kay
daftar, nito kay wastay
izzat ki history, yorap ki taraf, boot ki char char, wahdat
ki mistari, history ki basti, aspatal ki dawa, deputation ki
sar sabzi, college ki bakvas, league ki government, nito
chacha, yorap ki dastan, rail ki patri, nito ki ghis ghis,
maiz ki varaity, leader ki raqasi, nito ki tunkhah, London
ki masjid, aschool ki garaimar, shitan ki sectary
bangloon par tarkay, paraid par qoaed, paraid par laid,
9

chahray par gilat, moter par sawar, stage par dunyaan,


committee aur resolution, tajarat aur politics,
December ho ya augest, history ko bhool stage ko
sanwar, votoon main mukhtalif, bangloon se namaz,
bangloon main namaz, government to kush hai, angraizi
hi ko, bari mistake, government hi responsible, league se
keh do, choor literature ko, majoon nay kot pehna,
munchi kah kalarak, government ki policy, kilisa main
angraizi, resolation kay seva, yorap nay kaha, baitekat
fareshtay, madam diyana
Sabqoon lahqoon ka bhi bari khoobi se istamal hot
rehta hai. Maslan
Baytikat, khushnama dinner, dilkosha sciene, bayharm,
bilagilt, bilacolour, bilaoperation, miss nashanas,
pension yaftah, banglah nasheen, science dan, kalark
baadshah, kalark baadshahi, mumkinilty, trarablaat
wagherah
Urdu masadar kay sath angraizi alfaz ka estamal
10

aam se baat hai. Baz aisay marakbaat hain jo mohavray


kay darjay par faez ho gay hain. Maslan
Aspatali ho rehna, operation karna, operation hona,
operation ho chukna, editor banna, edit karna, advance
daina, advance laina, bag sambhalna, batan kholna,
putloon charhana, patloon dhili hona, reject hona, reject
karna, rail par charna, teckt katna, select hona, select
karna, sciene dekhana, science bunna, science banana,
sciene daikhna, photo chatna, photo dikhana, photo laina,
photo daikhana, photo khichna, college ki rah laina, life
likhna, life raqam karna, life banna, life banana, life
bigarna, life tabah hona, mistar hona, wish karna, land
hona, land karna, motor pakarna, waqt pass hona, waqt
pass karna, history likhna, history parhna, nation banana,
defance hona, defance karna, copy karna, copy hona,
botal se pina, report likhna, report likhwana, report
daina, lecturer sonna, lecturer daina, lecture hona,
lecture jharna, lecture pilana, tekat katna, tekat katwana,
11

tekat milna, committee milna, committee dalna,


committee dalna
Angraizi alfaz ki jamein Urdu kay apnay lisani nizam
kay zair-e-asar tarkeeb pati hain. Maslan
Bangloon, calljoon, kalarkoon, laidioon, misooon,
membroon, votoon, voteroon, biloon, bankoon,
universitoon, scholoon, motoroon, sportroon,
teacheroon, doctoroon, professoroon,
Misain, busain, carain, calain
Commitiaan scocitiaan, veritiaan waghera
Bohat se angraizi alfaz ki Urdu main aawazain
barhae ghatae gae hain. Maslan
School se ascool, scheme se askeem, steam se asteam,
sacutar se askotar
Yay aur ee ki barhoti se alfaz bananay ka ravaj aam
hai. Maslan
12

Aspatali, ministry, ragistari, daktari, mastari, kalactari,


clerki, leaderi, aishiae wagherah
Khudsakhta alfaz masla mokinilty, wajbal, sochanable
Moanas bananay kay liay daisi toor ekhtayar kiay
jatay hain. Maslan
Daktarni, masterni, membarni, afsarni, ledarrni,
tarablaat, faradi waghera
Bohat se alfaz tabdili-e-mafaheem kay sath Urdu
main dakhal ho gay hain. Maslan
Blade, break, discharge, taxi, copy, glass, circle, carkat,
school, tube, lead, plate jug waghera
Baz jamein Urdu main wahad mustamal hain. Maslan
Media, bictairia
Mutbadal aawazoon kay sath bohat se alfaz parnay
sonnay ko mil jatay hain. Masan
cd se ct, praid se parait, wagherah
13

Alfaz gharnay ki adadt tamam zobanoon main bari


hai. Maslan
Baek, tuch, lakat chain, pilshun, gainsa (gass), tony blade,
jaraj bursh (buch),
Chainstep (change step), tuochun, rapat waghera
Talafaz ki tabdili aur tabdili-e-ashkaal ka aam ravaj
hai. Maslan
Marbal, garaemar, maral, bursh, such, batal, banglah,
varaeti wagherah
Bohat sari ashya kay naam, omomi bool chal main
dakhal ho gay hain. Maslan
Cooler, farej, desh, fish, glass, matan, beaf, wall clock,
washing machine, wash room, bath room, kitchen,
television, telephone, baisan, blade, ovan, bed, shampoo,
bed sheet, chair, table, boot, coat, iron, cooker, shirt,
vcr, shameiz, cup, soop, book, copy, pencil, pen, modal
paper, medical wagherah
14

Bohat sari adviyaat aur medical se motalqaat kay


naam aam bool chaal main dakhal ho gay hain. Maslan
Brufen, septran, ponestone, paracetamol, disprine,
needal, nurs, surjan, ms, medical store, blood group,
medical offcer, emergency delivery, care, ward waghera
Foji ohdoon aur foj se motalqaat kay naam Urdu
zoban ka hessah ban gay hain. Maslan
Captain, karnal, major, wing commander, wing head
quarter, field officer, gun, tank, machine gun, brain gun,
praid ground wagherah wagherah
Dafatar kay naam Urdu main dakhal ho gay hain.
Maslan
President house, Prime minister house, Assembly
hall/chamber, governor house, subae secretariate, dc
office, sp office, post office, sdo office, edo office, deo
office, wapda house, inspectorate, doctorate, ag office,
account office, police station, railway station, booking
15

office, wagherah
Ungint civil ohdoon kay naam Urdu main ravaj pa
gay hain. Maslan
Metar redar, driver, post man, lungar commandar, line
man, clerk, head clerk, accountant, controller, principal,
head master, judge, session judge, barester, dg,
economist, accountant garnal, dean, counciler, manager,
casher, gate keeper director wagherah
Bohat saray niji adaroon kay naam angraizi amaiz
hain. Maslan
City view high school, pakistn modal high school,
garden town college ofscience, alkhair university, Irha
postgraduate college, Lahore college of sciences, shiba
delivery house, raza health service, saeeda health
centre, qamar health calinic, noshabah beauty clinak,
nikhar beauty parlar, nitasha beauty centre, jaded book
house, ezhar sons, ferooz sons, taj compney, Ahmad
cloth house, sajid landry, kasur landry, shizan baikery,
16

nazir anaetullah transport compney, zaki transport


compney, chenab transport services wagherah
Bohat saray purzoon kay naan Urdu main mustamal
ho gay hain. Maslan
Ring pistan, liver, break, bell, haran, ranch, sacru,
handle, stayring, madguard, tyr, tube, carboraitar, axsal,
chain, carrier, plug wagherah
Un donoon zabanoon ka mushtarkah sabqah hai.
Maslan
Unparh, ungint, unhaad, unjan, undaikha, unmit,
undata waghera
17

ANGRAIZI KAY URDU PAR LISANYATI ASRAAT

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutabkhana


May 2017

También podría gustarte