Está en la página 1de 12

Andaaz-e-BayaaN Aur - 15th February, 2013

2/15/2013
0 Comments
What better introduction to Ghalib than in his own words:
haiN aur bhii duniyaa meN suKhan_war bahot achchhe
kahate haiN ki "Ghalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aur
suKhan_war = poet
andaaz = style
bayaaN = narration
andaaz-e-bayaaN = poetic expression

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 1st March, 2013


3/1/2013
1 Comment
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karooN Khoon-e-jigar hone tak

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 28th February, 2013


2/28/2013
0 Comments
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mooNh par raunaq
wo samajhate haiN ki beemaar kaa haal achchhaa hai

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 27th February, 2013


2/27/2013
3 Comments
muddat hu_ii hai yaar ko mehamaaN kiye huye
josh-e-qadah se bazm-e-charaaGaaN kiye huye

3 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 26th February, 2013


2/26/2013
0 Comments
muhabbat meN nahiiN hai farq jeene aur marane kaa
usii ko dekh kar jeete haiN jis kaafir pe dam nikale
farq = difference
kaafir = non-believer

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 25th February, 2013


2/25/2013
0 Comments
raagoN meN dauRate phirane ke ham nahiiN qaayal
jab aaNkh hii se na Tapakaa to phir lahoo kyaa hai
qaayal = fan/admirer (of)

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 22nd February, 2013


2/22/2013
0 Comments
bas ke hooN "Ghalib" aseerii meN bhii aatish zer-e-paa
muu-e-aatish_deedaa hai halqaa merii zanjeer kaa
aseerii = imprisonment/captivity
zer-e-paa = under the feet
aatish_deedaa = on fire
halqaa = ring/circle

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 21st February, 2013


2/22/2013
2 Comments

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin


Khaak ho jaayenge ham tum ko Khabar hone tak
taGaaful = neglect

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 20th February, 2013


2/21/2013
0 Comments
zikr us pareewash kaa aur phir bayaaN apanaa
ban gayaa raqeeb aaKhir thaa jo raaz_daaN apanaa
zikr = mention
pareewash = angel/beauty/fairy
bayaaN = narration
raqeeb = rival
raaz_daaN = keeper of secrets (friend)

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 19th February, 2013


2/19/2013
0 Comments
jee DhooNDhataa hai phir wahii fursat ke raat din
baiThe raheN tasawwur-e-jaanaaN kiye hue
tasawwur = imagination

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 18th Februry, 2013


2/18/2013
0 Comments
ishq ne "Ghalib" nikammaa kar diyaa
warnaa ham bhii aadamii the kaam ke

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 15th March, 2013


3/15/2013
7 Comments
khulataa kisii pe kyoN mere dil kaa mu_amalaa
sheroN ke intaKhaab ne ruswaa kiyaa mujhe
[Mirza Ghalib]
mu_amalaa = mystery
intaKhaab = selection
ruswaa = notorious
It has been a month since the launch of Andaaz-e-BayaaN Aur on Mirza Ghalib's death anniversary (Feb
15th). Posting the couplets has been an enjoyable experience for me as I have (re)discovered his gems and have
been amazed anew by the poet and the man. I hope you have enjoyed the selections and it has made you want to
read and learn more about this great poet.

7 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 14th March, 2013


3/14/2013
1 Comment
na luTataa din ko to kab raat ko yooN chain se sotaa
rahaa KhaTakaa na chorii kaa duaa detaa hooN rah_zan ko
[Mirza Ghalib]
khaTakaa = fear
rah_zan = robber (refers to one's beloved - one who stole his heart)

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 13th March, 2013


3/13/2013
2 Comments
udhar wo bad_gumaanii hai idhar ye naatawaanii hai
na poochhaa jaaye hai un se na bolaa jaaye hai ham se
[Mirza Ghalib]
bad_gumaanii = doubt, lack of trust
naatawaanii = weakness

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 12th March, 2013

3/12/2013
1 Comment
ug rahaa hai dar-o-deewaar pe sabzaa "Ghalib"
ham bayaabaaN meN haiN aur ghar meN bahaar aa_ii hai
[Mirza Ghalib]
ug (uganaa) = growing
dar = door
deewaar = wall
sabzaa = greenery
bayaabaaN = wilderness

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 11th March, 2013


3/11/2013
0 Comments
ho chukiiN "Ghalib" balaayeN sab tamaam
ek marg-e-naagahaanii aur hai
[Mirza Ghalib]
balaa = trouble
tamaam = end
marg-e-naagahaanii = unexpected (sudden) death

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 8th March, 2013


3/8/2013
0 Comments
jalaa hai jism jahaaN dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho jo ab raakh justajoo kyaa hai
jism = body
justajoo = search

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 7th March, 2013


3/7/2013
5 Comments

naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahreer kaa


kaaGazii hai pairahan harpaikar-e-tasweer kaa

5 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 6th March, 2013


3/6/2013
3 Comments
ye masaa_il-e-tasawwuf ye teraa bayaan "Ghalib"
tujhe ham walii samajhate jo ba baadaa_Khwaar hotaa
[Mirza Ghalib]

3 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 5th March, 2013


3/5/2013
0 Comments
har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
tumhiiN kaho ki ye andaaz-e-guftagoo kyaa hai

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 4th March, 2013


3/4/2013
2 Comments
marate haiN aarazoo meN marane kii
maut aatii hai par nahiiN aatii

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 3rd October, 2014


10/3/2014
0 Comments

baat par waa zabaaN kaTatii hai


wo kaheN aur sunaa kare ko_ii
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 19th September, 2014


9/19/2014
1 Comment
khel samajhaa hai kahiiN chhoR na de bhool na jaaye
kaash yooN bhii ho ki bin sataaye na bane
[Mirza Ghalib]

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 8th April, 2014


4/8/2014
0 Comments
maiN bulaataa to hooN us ko magar ai jazbaa-e-dil
us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 4th april, 2014


4/4/2014
0 Comments
bak rahaa hooN junooN meN kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kar ko_ii
[Mirza Ghalib]
[junooN = madness, delirium]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 27th March, 2014


3/27/2014
5 Comments

jab tawaqqo hii haT ga_ii "Ghalib"


kyooN kisii kaa gilaa kare ko_ii
[Mirza Ghalib]

5 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 25th March, 2014


3/25/2014
0 Comments
aage aatii thii haal-e-dil pe haNsii
ab kisii baat par nahiiN aatii
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 20th March, 2014


3/20/2014
2 Comments
maiN bhii mooNh meN zabaan rakhataa hooN
kaash poochho ki mudda'a kyaa hai
[Mirza Ghalib]

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 6th March, 2014


3/6/2014
8 Comments
mat poochh ki kyaa haal hai meraa tere peechhe
tuu dekh ki kyaa rang hai teraa mere aage
[Mirza Ghalib]

8 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 4th March, 2014


3/4/2014
2 Comments
baazeecha-e-atfal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

[Mirza Ghalib]
baazeechaa-e-atfaal = child's play

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 10th July, 2013


7/10/2013
1 Comment
is saadagii pe kaun naa mar jaaye ai Khudaa
laRate haiN aur haath meN talwaar bhii nahiiN
[Mirza Ghalib]

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 25th July, 2015


7/24/2015
2 Comments
dil se terii nigaah jigar tak utar ga_ii
donoN ko ik adaa meN razaamand kar ga_ii
[Mirza Ghalib]
nigaah = eye
razaamand = acceptable

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 22nd July, 2015


7/21/2015
0 Comments
yaar se chheR chalii jaaye "Asad"
gar nahiiN wasl to hasrat hii sahii
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 20th July, 2015


7/20/2015
0 Comments
qataa keeje na taa'alluq ham se
kuchh nahiiN hai to adaawat hii sahii
[Mirza Ghalib]
qataa = break off
taa'alluq = relationship
adaawat = enmity

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 5th June, 2015


6/5/2015
3 Comments
had chaahiye sazaa meN uqoobat ke waaste
aaKhir gunaah_gaar hooN, kaafir nahiiN hooN maiN
[Mirza Ghalib]
had = limit
sazaa = punishment
uqoobat=pain
aaKhir = after all
gunaah_gaar = sinner
kaafir = infidel, non-believer

3 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 2nd June, 2015


6/2/2015
1 Comment
'Ghalib' wazifaa_Khwaar ho, do shaah ko duaa
wo din gaye ki kahate the naukar nahiiN hooN maiN
[Mirza Ghalib]
wazifaa_Khwaar=pensioner

1 Comment

Andaaz-e-BayaaN Aur - 13th January, 2015

1/13/2015
4 Comments
ham bhii tasleem kii Khoo Daalenge
beniyaazii terii aadat hii sahii
[Mirza Ghalib]
tasleem = salutation
Khoo = habit
beniyaazii = neglect / indifference

4 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 9th January, 2015


1/9/2015
2 Comments
iimaaN mujhe roke hai to KheeNche hai mujhe kufr
kaabaa mere peechhe hai kaleesaa mere aage
[Mirza Ghalib]

2 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 6th January, 2015


1/6/2015
0 Comments
go haath ko jumbish nahiiN aaNkhoN meN to dam hai
rahane do abhii saaGar-o-meenaa mere aage
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 2nd January, 2015


1/2/2015
0 Comments
dekhanaa taqareer kii lazzat ki jo us ne kahaa
maiN ne ye jaanaa ki goyaa ye bhii mere dil meN hai
[Mirza Ghalib]

0 Comments

Andaaz-e-BayaaN Aur - 7th October, 2014


10/7/2014
3 Comments
is saadagii pe kaun na mar jaaye ai Khudaa
laRate haiN aur haath meN talawaar bhii nahiiN
[Mirza Ghalib]
saadagii = simplicity
talawaar = sword

3 Comments

También podría gustarte