Está en la página 1de 1

na rona sakina

abbas na ab laut ke aayega sakina


ab kaun tere naaz uthayega sakina
bhai se wida hoke yun farmaate thay maula
ab kaun mere ghar ko bachayega sakina
abbas na ab laut....
kya hoga zara dayr may maloom hai humko
tar khoon may alam nehr se aayega sakina
abbas na ab laut....
ek shor hai kohraam hai bibi labe darya
lagta hai ke ab sher na aayega sakina
abbas na ab laut....
talwaro may naizo may ghira hai mera bhai
wo mashk o alam kaise bachayega sakina
abbas na ab laut...
abbas na honge tera baba bhi na hoga
ab kaun teri pyaas bujhayega sakina
abbas na ab laut...
kis ke liye bibi dare qaima pe khadi ho
ab koi taraayi se na aayega sakina
abbas na ab laut...
abbas ka wada hai ke pani na piyega

También podría gustarte