Está en la página 1de 1

song by vishal dadlani

kas ke joota kas ke belt


khons ke andar apni shirt
manzil ko chali sawaari
kandho pe zimmedari

haath mein file man mein dum


meelon meel chalenge hum
har muskil se takrayenge
tas se mus na honge hum

duniya ka naara jame raho


manzil ka ishaara jame raho
duniya ka naara jame raho
manzil ka ishaara jame raho

ye sote bhee hain attention


aage rehne ki hai tension
mehnat inko pyari hai
ekdum aagyakari hain

ye omlet par hi jeete hain


ye tonic saare peete hain
waqt pe sote waqt pe khate
taan ke seena badhte jate

duniya ka naara jame raho...

yahaan alag andaz hai


jaise chidta koi saaz hai
har kaam ko taala karte hain
ye sapne paala karte hain

ye hardum socha karte hain


ye khud se poocha karte hain

kyon duniya ka naara jame raho...

ye waqt ke kabhi ghulam nahin


inhain kisi baat ka dhyan nahin
titli se milne jaate hain
ye pedon se batiyate hain

ye hawa batora karte hain


barish ki boondein padhate hai
aur aasmaan ke canvas pe
ye kalakariyan karte hain

duniya ka naara jame raho..

También podría gustarte