Está en la página 1de 1

Allahu Ghani kaisi wo, Pur Noor ghadi thi

Ke jab saamne nazraun ke, Madine ki Gali thi

Nazraun se liye bosay, kabhi hotaun se chooma


Us shaher ki har cheez, mujhe khoob lagi thi

Meri baat bangaee, Teri baat karte karte


AQA Tere sharand me mai aaon, Teri Naat padhte padhte

Naat e Sarkar ki padhta hoon mai


Bus isi baat se mere ghar me rahmat hogi

Ek tera naam wasila hai mera


Ranj o gham me bhi isi naam se rahat hogi

Aur ye suna hai khabar bahut andheri hogi


Qabr ka khauf na rakhna ae dil
Wahaan Sarkar ke Chehre ki ziyarat hogi

Unko Mukhtar banaya hai Mere Maula ne


Khuld me bus wahi ja sakta hai,
Jis ko Hasnain ke baba ki ijazat hogi

Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga


Zulf lehra ke wo jab aaeinge
Phir qayamat me bhi ek aur qayamat hogi

Kaheen Yaseen kaheen Taha kaheen wash-shams aya


Jin ki qasme mera Rab yaad karay
Kitni dil kash mere Mehboob ki surat hogi

Apna daman to gunahau se bhara hai Altaf


Ek sahara hai ke mai unka hoon
Bus isi nisbat se saray hashr shafa'at hogi

También podría gustarte